Description
Shah Rukh Khan Sends Legal Notice To Creator Over Reel On Anant Ambani Interaction | King
#shahrukh_khan #king #anantambani #bollywoodnews #bollywoodnewsinhindi #mayapuricut
Bollywood ke superstar Shah Rukh Khan ek baar phir legal maamle ko lekar charcha mein hain. Actor ne social media influencer Suvignya Sharma ko legal notice bheja hai. Yeh poora vivaad Instagram par viral hui ek reel se juda hai, jismein Shah Rukh Khan aur businessman Anant Ambani ke beech hui baatcheet ko lekar kathit taur par bhraamak daave kiye gaye the. Reel mein daava kiya gaya tha ki baatcheet ke dauraan Shah Rukh Khan ko chup rehne ke liye kaha gaya tha.
Darasal, Suvignya Sharma ne apne Instagram account par ek video share kiya tha. Ismein Anant Ambani aur Sadhguru ki baatcheet ke footage ke saath Shah Rukh Khan aur Anant Ambani ki baatcheet ki ek alag clip bhi shamil thi. Video ke zariye daava kiya gaya ki actor ko baatcheet ke dauraan chup rehne ke liye kaha gaya tha. Haalanki, Shah Rukh Khan ki legal team ne in daavon ko poori tarah jhootha aur bhraamak bataya hai.
Shah Rukh Khan ki legal team ne 23 November ko bheje gaye notice mein is video aur iske caption ko 'sharaaratpurn, bhraamak aur maanhaanikarak' bataya hai. Notice ke mutabik, video ke zariye baatcheet ke asli context ko tod-marod kar pesh kiya gaya, jisse actor ki public image aur reputation ko nuksaan pahunch sakta hai. Legal notice mein Bharatiya Nyaya Sanhita (BNS), 2023 ki dhara 356 ka bhi zikr kiya gaya hai, jo maanhaani se sambandhit hai. Iske tahat bina thos saboot ke kisi vyakti ki reputation ko nuksaan pahunchane wale daave karne par legal action ka pravadhan hai.
Notice mein Suvignya Sharma ko 48 ghante ke andar paanch maangein poori karne aur iski written confirmation dene ke liye kaha gaya hai. Inmein vivaadit Instagram reel ko hatana, usse jude bhraamak daavon ko aage share nahi karna aur video ke caption va bayaanon ko delete ya correct karna shamil hai.
Wahin, legal notice milne ke baad Suvignya Sharma ne bhi Shah Rukh Khan par palatwar kiya hai. Unhone apne ek doosre video mein actor ki aapatti par sawaal uthate hue ise freedom of expression aur criticism se juda maamla bataya. Unhone kaha ki agar kisi ne Shah Rukh Khan ko chup rehne ke liye kaha tha, toh kya woh unka apmaan nahi tha? Saath hi unhone sawaal kiya ki kya is maamle mein unki taraf se ki gayi tipanni ko apmaanjanak maana ja sakta hai. Is tarah dono pakshon ke beech yeh maamla ab social media par charcha ka vishay ban gaya hai.
LIKE | SHARE | COMMENT | SUBSCRIBE
★ YOUTUBE: https://www.youtube.com/user/MayapuriFilms
★ FACEBOOK: https://www.facebook.com/Mayapurimagazine/
★ INSTAGRAM: https://www.instagram.com/mayapurimagazine/
★ TWITTER: https://twitter.com/mayapurimag
★ PINTEREST: https://in.pinterest.com/mayapurimagazine/
★ WEBSITE: https://www.mayapuri.com/
