Description
Bollywood Latest News | Deepika Padukone | Shah Rukh Khan | Ranbir Kapoor | King | 26 Nov 2026 |5 Pm
#deepikapadukone #shahrukh_khan #ranbirkapoor #saiyaara #king #akshaykumar #ravikishan #bollywoodnews #bollywoodnewsinhindi #mayapuricut
'Ramayana' ke box office par shandaar performance ke baad ab film ki team ne kendriya grih mantri Amit Shah se mulaqat ki. Is khaas mauke par producer Namit Malhotra, director Nitesh Tiwari, Ranbir Kapoor, Sai Pallavi aur Prime Focus ke business head Neeraj Shanghai maujood rahe. Mulaqat ke dauraan Amit Shah ne poori team ko badhai di aur 'Ramayanam' ko itne bhavya level par bade parde par pesh karne ke unke efforts ki sarahna ki.
Shah Rukh Khan apni upcoming film 'King' ko lekar charcha mein hain. Isi beech Anant Ambani aur Sadhguru ke saath unka ek video social media par viral ho raha hai. Is video ko lekar vivaad khada ho gaya hai. Khabron ke mutabik, Shah Rukh ne social media influencer Suvignya Sharma ko ek kathit maanhaanikarak Instagram reel ke liye legal notice bheja hai. Un par Sadhguru ke programme mein Shah Rukh ki maujoodgi ko lekar bhraamak aur image kharab karne wale daave karne ka aarop hai.
Mashhoor filmmaker Karan Johar ke talk show 'Koffee With Karan' season 9 ke naye episode mein Bollywood superstar Akshay Kumar aur Bhojpuri power star Ravi Kishan pahunche. Is dauraan Ravi Kishan ne apne pita ko yaad karte hue bachpan ki dukhad ghatna ka zikr kiya. Unhone bataya ki unke pita unki acting aur dance ke khilaaf the. Iske chalte ek baar unke pita ne Ravi ki buri tarah pitai kar di thi.
Bollywood superstar Shah Rukh Khan aur mashhoor singer Sonu Nigam Rajasthan ke Udaipur mein ek royal wedding ceremony mein shirkat karne pahunche. Is dauraan Shah Rukh ne apne popular gaane 'Lungi Dance' par thumke lagaakar mehmaanon ka khoob manoranjan kiya. Black shirt, white dhoti aur black chashme mein unka andaaz dekhte hi ban raha tha. Wahin, Sonu Nigam ne bhi dulhe ke saath dance kiya. Is ceremony mein kai bade raajneetik chehre bhi shaamil hue.
Netflix ki pehli Pakistani series 'Jo Bache Hain Sang Samet Lo' ko lekar India mein vivaad badhta ja raha hai. Series ki 4 December 2026 ko hone wali global release se pehle All Indian Cine Workers Association (AICWA) ne Netflix ko warning di hai. Sangathan ne maang ki hai ki is series ko Indian catalogue se hataaya jaaye. Aisa nahi hone par AICWA ne Netflix ke office ke baahar protest karne aur deshbhar mein boycott campaign chalaane ki baat kahi hai.
Bollywood superstar Ranbir Kapoor ki film 'Ramayanam' box office par shandaar performance kar rahi hai. Release ke 20 din se zyada samay beetne ke baad bhi film ke collection ka silsila jaari hai. Isi beech film ki success ke beech Ranbir Kapoor Gurupurab ke khaas mauke par Delhi ke mashhoor Gurudwara Bangla Sahib pahunche. Is dauraan unke saath film ke director Nitesh Tiwari aur producer Namit Malhotra bhi maujood rahe. Teeno ne gurudware mein matha tek kar aashirwad liya.
Vishal Chaturvedi ki film 'Hanuman Ansh' cinema gharon mein kareeb teen mahine tak chalne ke baad ab OTT par dastak dene ja rahi hai. Khaas baat yeh hai ki film ek nahi, balki do digital platforms Netflix aur Sony LIV par release hogi. Sony LIV ne pehle hi iske 27 November ko premiere ki announcement kar di thi. Wahin, ab Netflix ne bhi confirm kiya hai ki darshak 29 November se is film ko apne platform par dekh sakenge.
'Bigg Boss 20' ke upcoming episode mein ScoutOP apni co-contestant Love Gill ke saath apni dosti ko yaad kar emotional hote nazar aayenge. Show ke promo mein ghar ki lights band hone ke baad woh Gullu se baatcheet karte dikhai dete hain. Is dauraan Scout batate hain ki Love hamesha unka khayal rakhti thi. Woh unke time par khaana khaane se lekar kapde dhone tak ka dhyaan rakhti thi. Scout ne Love ke saath apne rishte mein diye gaye time aur usse jude emotional attachment ka bhi zikr kiya.
Bollywood actor Akshay Kumar apni fitness aur subah jaldi uthne ki aadat ke liye mashhoor hain, lekin unki yeh aadat patni Twinkle Khanna ke liye pareshani ka sabab ban jaati hai. Darasal,
LIKE | SHARE | COMMENT | SUBSCRIBE
★ YOUTUBE: https://www.youtube.com/user/MayapuriFilms
★ FACEBOOK: https://www.facebook.com/Mayapurimagazine/
★ INSTAGRAM: https://www.instagram.com/mayapurimagazine/
★ TWITTER: https://twitter.com/mayapurimag
★ PINTEREST: https://in.pinterest.com/mayapurimagazine/
★ WEBSITE: https://www.mayapuri.com/
