YTUnity logo

Welcome to YTUnity

One free SpiderTaz Network account works across every network site.

Koffee With Karan Season 9 | Ravi Kishan Reveals Father Wanted To Kill Him Over Acting Career On KWR

Mayapuri Cut Podcast Today

Description

Koffee With Karan Season 9 | Ravi Kishan Reveals Father Wanted To Kill Him Over Acting Career On KWR

#koffeewithkaran #koffeewithkaran9 #akshaykumar #ravikishan #karanjohar #bollywoodnews #bollywoodnewsinhindi #mayapuricut

Bhojpuri cinema se lekar Bollywood tak apni pehchaan banane wale actor Ravi Kishan aaj kisi pehchaan ke mohtaj nahi hain. Apni shandaar acting aur bebak andaaz se unhone lakhon logon ka dil jeeta hai. Ab actor ne Karan Johar ke popular chat show *'Koffee With Karan 9'* mein apni zindagi ke mushkil dino ko lekar aisa khulasa kiya hai, jise sunkar har koi hairaan reh gaya.

Darasal, 'Koffee With Karan 9' ke latest episode mein Ravi Kishan aur Akshay Kumar guest bankar pahunche. Is dauran dono actors ne apni zindagi aur filmy career se jude kai interesting kisse share kiye. Baatcheet ke dauran Ravi Kishan ne apne purane dino ko yaad karte hue bataya ki 1990 ke dashak mein unke parivaar ko unka acting ki duniya mein jaana bilkul pasand nahi tha.

Ravi Kishan ne bataya ki unke pita pujari the aur doodh ka business bhi karte the. Woh chahte the ki unka beta bhi family business sambhale ya phir koi government job karke apna future secure kare. Lekin Ravi Kishan ka sapna kuch aur hi tha. Unhe bachpan se hi acting ka shauk tha aur woh apne is sapne ko poora karne ke liye chhote-mote theatre plays bhi kiya karte the.

Apne theatre ke dino ka ek kissa sunate hue Ravi Kishan ne bataya ki ek baar unhone saree pehenkar Ramleela mein hissa liya tha. Lekin jab unke pita ko is baat ka pata chala, toh woh behad naraaz ho gaye. Actor ke mutabik, is ghatna ke baad unke pita ne unki khoob pitai ki aur baar-baar unse poochhne lage ki kya woh dancer banna chahte hain?

Actor ne aage bataya ki acting ko lekar ghar mein tension itni badh gayi thi ki unki maa ne unhe pita ke gusse se bachane ke liye ghar chhodne mein madad ki thi. Apne pita ke gusse ko yaad karte hue Ravi Kishan ne kaha, 'Mere pita mujhe maar daalna chahte the. Woh kehte the, yeh ladka kalank banega, isko maar hi dete hain.' Ravi Kishan ka yeh khulasa kaafi emotional kar dene wala tha.

Karan Johar ne is episode mein Akshay Kumar aur Ravi Kishan ka behad khaas andaaz mein welcome kiya. Show mein serious conversation ke saath-saath khoob masti bhi dekhne ko mili. Akshay Kumar ne alag-alag jaanwaron ki awaazein nikaalne ka ek mazedaar challenge liya. Apne is unique talent se unhone sabhi ko khoob hansaya.

Wahin, Akshay Kumar aur Ravi Kishan ne milkar actor ke viral dance step ko bhi recreate kiya. Dono ki masti aur shandaar chemistry ne is episode ko aur bhi entertaining bana diya.

LIKE | SHARE | COMMENT | SUBSCRIBE

★ YOUTUBE: https://www.youtube.com/user/MayapuriFilms
★ FACEBOOK: https://www.facebook.com/Mayapurimagazine/
★ INSTAGRAM: https://www.instagram.com/mayapurimagazine/
★ TWITTER: https://twitter.com/mayapurimag
★ PINTEREST: https://in.pinterest.com/mayapurimagazine/
★ WEBSITE: https://www.mayapuri.com/

Featured creators

Creators on the SpiderTaz Network

Become a creator →