説明
The Voice of Hope & …. Hopeless 🙏🏻
Artist : Parry G & Juhi M
Music & Lyrics : Parry G
Lyrical Video : Juhi M
Main Khuli Hawaa mei bhi gutt ti hu,
Main Kehti kumm, zyada sunti hu,
Bahut soch soch kar logon ko chunti hu,
phir bhi bhuli bisri
har morh na jaane kyu
azaadi dhoondati hu
Uss koukh se jeevan ki taraf woh dheere dheere barhti hai ,
sapnaa hai uska jeene ka, khud se baatein karti hai,
kehti hai maa mujhe samaj shaan hu teri kokh ki,
Phir kyun hai aankhein numm teri kya isme meri koi galti hai,
sunti hu sab nouk jouk kaise tu sbse larhti hai,
mujhe zinda rakhne ki chaahat mein har din khud marti hai,
naa fikar mujhe kya chaahein sab pagal hai saari duniya toh,
Par kya Papa bhi chaahe yahi ki maare woh apni gurhiyaa ko,
lenedo mujhko janam yahan itni si toh ijaazat do,
Nahi kaabil main jeene ki toh kyun kehte maata bharat ko,
janam daata main jeevan ki par khud he main majboor hu,
saansein mujhse tu cheenkar naa kar itna guroor tu ,
Maa dekha maine tuneh khoob sahaa aankhon se bhi teri khoon bahaaa,
sangharsh tera ehsaan hai badloongi sab kuch yahan,
jab li pehli saansein maine maa aakhir kaar tu jeet gai
mujhe zinda dekh teri baahon mein teri aankhein phir se bheeg gai,
Sir ko jhukaakey aankhein moondu,
Khud ko chupaakey azaadi dhoondu,
Tu he bataa dey kisko poochun,
Kisko kosun kisko poojun,
Par naa pataa tha jeekar bhi marne ke baare mein he sochungi,
har kadam pe mileh jab nayaa zakham main chupke se kahin rolungi,
har ik pal nayi uthal puthal , mere ghar waalon ko bhi dikhe mera kal,
par aaj nahi woh bhi kya karein jab khatra hai smaaaj yahi,
chup rehne ki ab yeh baat nahi, Dhoondo na ilaaj kahin,
Ya din ko kehdo vinti hai mat laana ab tu raat nayi,
bann jaaungi damini, phir bann jaaungi nirbhayaa,
karo shoshan har din mera aur dedo mujhe naam phir nayaa,
dedo mujhe naam phir nayaa,
kyun mere ghar hai larki aur tere ghar hai larkaa ,
kyun hum par inn baaton ka boora asar parhtaa,
sochengey aisa toh kaise barhegaa yeh desh,
jahan har koneh par ho humaari larki ko khatraa,
har din jo barhtaa , darr bhi naa lagtaa
sabke dilon ke beetar gussa aur bhartaa,
naa parkho humaare dharya ko,
ik din dekho kaise bharhkegi jantaaa,
ab sahi galat pehchaan lo , larki ka na apmaan ho,
andhar jagaaao insaan ko aur maar bhagaao haivaan ko,
iss baat ko ab tum maan lo , ab kuch toh yahan samaadaan ho,
bataao mujhe humara vajood he kya hai agar pehle humaari maa na ho,
Sir ko jhukaakey aankhein moondu,
Khud ko chupaakey azaadi dhoondu,
Tu he bataa dey kisko poochun,
Kisko kosun kisko poojun,