Aaye Bahaar Ban Ke Lubha Kar Chale Gaye - Raj Hath 1965 - Mohd.Rafi

Suhanee Lall Video 3 months ago

Description

Song: Aaye Bahar Banke lubhaakar chale gaye
Movie : Raaj Hath (1956)
Singer : Mohd.Rafi
Music Director : Shankar jaikishen
Lyrics : Hasrath Jaipuri
Actors : Sohrab Modi,Madhubala,Pradeep Kumar

Lyrics:
Aaye bahaar ban ke lubhaakar chale gaye
kya raaz tha jo dil mein chhupakar chale gaye
kya raaz tha jo dil mein chhupakar chale gaye

Kehne ko woh haseen the aankhen thi bewafa ho
aankhen thi bewafa
kehne ko woh haseen the aankhen thi bewafa haaye
daaman meri nazar se bachaakar chale gaye
aaye bahaar ban ke lubhaakar chale gaye

Itna mujhe bataao mere dil ki dhadkanon haaye
dil ki dhadkanon
itna mujhe bataao mere dil ki dhadkanon haaye
woh kaun the jo khwaab dikhaakar chale gaye
aaye bahaar ban ke lubhaakar chale gaye