Description
Turkey ke sunsaan pahadon ke beech daba hua Gobekli Tepe aaj se lagbhag 11,600 saal purana ek aisa ancient site hai, jisne human history ko lekar kai purane assumptions par sawaal khade kar diye. 10 ton tak ke massive stone pillars, ajeeb-o-gareeb animal carvings aur unke beech chhupe mysterious symbols sab kuch us daur ka hai jab duniya mein abhi bade shehron aur civilizations ka naam o nishaan bhi nahi tha. Sabse strange baat ye hai ki itne bade stone structures ko banane wale logon ne baad mein is poori jagah ko jaan bujhkar mitti ke neeche daba diya.
Gobekli Tepe ka Pillar 43, jise “Vulture Stone” bhi kaha jata hai, is mystery ko aur gehra bana deta hai. Is par ek vulture, scorpion aur ek headless human figure jaise symbols bane hain, jinhe kuch researchers ek ancient celestial event aur kisi catastrophic disaster se jodne ki koshish karte rahe hain. Kya ye sirf symbolic artwork tha, kisi purani tragedy ki memory, ya phir aasman mein hui kisi aisi घटना का record jise hum aaj bhi poori tarah samajh nahi paaye? 12,000 saal purane in pattharon mein aakhir kya chhupa hai aur unhe itni mehnat se zameen ke neeche kyun dafan kiya gaya?
